Sunday, 5 January 2014

इंतजार की शायरी


आपकी जुदाई भी हमें प्यार करती है;
आपकी याद बहुत बेक़रार कराती है;
जाते-जाते कहीं भी मुलाकात हो जाए आपसे;
तलाश आपको ये नज़र बार-बार करती है।

अर्ज़ किया है


इस कदर हम यार को मनाने निकले;
उसकी चाहत के हम दीवाने निकले;
जब भी उसे दिल का हाल बताना चाहा;
उसके पास वक़्त ना होने के बहाने निकले।

इश्क शायरी





ना चाहो किसी को ऐसे कि;
चाहत आपकी मज़बूरी बन जाए;
पर चाहो किसी को इतना कि;
आपका प्यार उसके लिए जरुरी बन जाए।

Wednesday, 1 January 2014

Latest Love Shayari SMS


Sishey mein dikti apki parchai
kehte hai humse ki aap ho sharmayi,
yeh kaisi hai rusavayi,
Man karta hai tham lu apki kalai,
kyunki ab to sahi jaye na ye judia…

Love Shayri SMS


Woh zindagi hi kya jisme mohabbt nhi,
Woh mohabat hi kya jisme yaadein nhi,
Woh yaadein kya jisme tum nhi,
aur wo tum hi kya jiske sath hum nhi!!!

Wednesday, 4 April 2007

Dosti Shayaris :- 180

Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga…..

Dard Shayaris :- 179

Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya….

Hindi Shayaris :- 178

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte...

Hindi Shayaris :- 177

Har ek muskurahat muskan nahin hoti,
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti.
Aansu gam ke aur Khushi ke ek se hote hain,
Magar inki pehchaan aasan nahin hoti...

Funny Shayaris :- 176

Tairna hai to samundar mein tairo,
Nadi naalo mein kya rakha hai,
Mohabbat karni hai to apne watan se karo,
In bewafa hasino mein kya rakha hai......

Hindi Shayaris :- 175

Lamhe yeh Suhane sath ho na ho..
Kal mein aaj jaisi koi baat ho na ho....
Aap ki dosti hamesha is dil mein rahegi.....
Chahe poori umar mulakat ho na ho.....

Funny Shayaris :- 174

Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi……

Dosti Shayaris :- 173

Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai….

Cool Shayaris :- 172

Nasha hum karte hai
Ilzaam sharab ko diya jata hai
Par isme kusoor sharab ka nahi unka hai
Jinka chehra hamein har jaam mein nazar aata hai

Hindi Shayaris :- 171

Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu……

Friday, 7 July 2006

Hindi Shayaris - 88

Wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
wo yaden he kya jisme tum nahi,
wo tum hi kya jisme hum nahi.

Thursday, 15 June 2006

Shayaris - 91

Mili hai saza unse dil laga ne ki,
Nazar lag gayi hamare pyar ko zamane ki,
Kabr se nikle hue dono haath kehte hai,
Aarzoo reh gayi unko gale lagane ki..

Wednesday, 28 December 2005

arz kiya hai-25

Sapno se dil lagaane ki aadat nahi rahi....
Har wakt muskuraane ki aadat nahi rahi...
Ye sooch kar ki koi manaane nahi aayega....
Ab humain rooth jaane ki aadat nahi rahi...