Wednesday, April 04, 2007

Dosti Shayaris :- 180

Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga…..

Dard Shayaris :- 179

Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya….

Hindi Shayaris :- 178

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte……

Hindi Shayaris :- 177

Har ek muskurahat muskan nahin hoti,
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti.
Aansu gam ke aur Khushi ke ek se hote hain,
Magar inki pehchaan aasan nahin hoti.................

Funny Shayaris :- 176

Tairna hai to samundar mein tairo,
Nadi naalo mein kya rakha hai,
Mohabbat karni hai to apne watan se karo,
In bewafa hasino mein kya rakha hai......

Hindi Shayaris :- 175

Lamhe yeh Suhane sath ho na ho..
Kal mein aaj jaisi koi baat ho na ho....
Aap ki dosti hamesha is dil mein rahegi.....
Chahe poori umar mulakat ho na ho.....